ذاکر موسآ کی شہادت۔

  “
Hamari munafiqat ki daleel 17 ramzan ko ba aini sab k saamne aa gyi. Subah k waqt election ki jeet ki khushi mai jashn mananey waley usi shaam Shaheed Zakir ki Shahadat ka alam uthaney k liye khadey hogye. Kam aql ce le kar zaheen o danish sab k liye hamari munafiqat ki daleel ayan aur bayan hai. Wo nizam e mustafa k naarey laganey waley us nizam ka jinaza nikaal rahey hai.

Mah e Ramzan, jis maah mai moomin chotey ce chotey gunah krne ce b larazta hai, us waqt e mazkoor mai apne Bhai ki peeth par khanjar ce waar karne k liye kisi darinday ka dil hona laazmi hai, kyunki ye na koi insani khaslat h aur naahi musalmani. Inhi manazir pe insan ki aql hairan ho jati hai, apne wajood pe nazr pher kar insan sharamsaar ho kar apne aap ko kosta hai ki mai in jaise janwaru’n ka ham watan hun aur ham nasl hun.

Lekin! Aisi mayoosi k dal dal ce is baat ka qayas humey kheench lata h ki hum usi watan k baskeendar hai jahaan k mujahid dushman ki goliyon ce apne rozun ka iftar karte hai! Aise mard e mujahid jin ki hayat ce kuffar ki awaam aur hukaam donu tharr tharr kaanpte hai!
Ye in mujahideen ki wajah ce hi h ki hum fakhr ce apna seena taan k is watn e aziz par chalte hai!
Wallah! hum laakh chaah kar b inka karz ada nahii kar sakte! Inka ajr bas ek Allah ki zaat tai kar sakhti h! Aur inka ajr inhe ba-qaida milega!  In sha Allah  ☝️

Shaheed Zakir k chehrey ki aur seeney ki haalat, Hindustan ki fouj ki lachari aur bebasi ki daleel hai! Wo log Shaheed Zakir ki har saans ce khauf zada they, un k khof ka alam toh ye tha ki wo kuffar be jaan jism ce b laraz rhey they aur haiwaniyat k ilawa koi rasta nahi dikha aur be shak ye amal toh laazmi hai, kyunki haiwan ki khaslat to haiwaniyat hi hai. In kuffaar aur munafiqeen ka faisla karne k liye Allah ki sift “Waahid-ul-Kahhaar” zabaan darazi karegi, aur tab un ka haami koi nahi hoga.
“Fama lahu min quwwati’wala Naasir”
                      – Quran

Leave a comment

search previous next tag category expand menu location phone mail time cart zoom edit close